जीवन मे गुरु की आवश्यकता क्यों? - प्रेरक कहानी

Home  कहानियाँ जीवन मे गुरु की आवश्यकता क्यों? - प्रेरक कहानी

जीवन मे गुरु की आवश्यकता क्यों? - प्रेरक कहानी

Ek gaay ghaas charne ke liye ek jangal mein chali gayi. Shaam dhalti ke kareeb thi. Usne dekha ki ek baagh uski taraf dabe paav badh raha hai. Vah dar ke maare idhar-udhar bhagne lagi. Vah baagh bhi uske peeche daudne laga. Daudte huye gaay ko samne ek taalaab dikhayi diya. Ghabrai hui gaay us taalaab ke andar ghus gayi.

Vah baagh bhi uska peecha karte huye taalaab ke andar ghus gaya. Tab unhone dekha ki vah taalaab bahut gehra nahi tha. Usmein paani kam tha aur vah keechad se bhara hua tha. Un dono ke beech ki doori kaafi kam hui thi. Lekin ab vah kuch nahi kar pa rahe the.

Vah gaay us keechad ke andar dheere-dheere dhansne lagi. Vah baagh bhi uske paas hote huye bhi usse pakad nahi sakaa.

Vah bhi dheere-dheere keechad ke andar dhansne laga. Dono bhi karib karib gale tak us keechad ke andar phas gaye. Dono hil bhi nahi pa rahe the. Gaay ke karib hone ke bavjood vah baagh usse pakad nahi pa raha tha.

Thodi der baad gaay ne us baagh se puchha, "Kya tumhara koi guru ya malik hai?"

Baagh ne gurrate huye kaha, "Main to jangal ka raja hoon. Mera koi malik nahi. Main khud hi jangal ka malik hoon."

Gaay ne kaha, "Lekin tumhare us shakti ka yahan par kya upayog hai?"

Us baagh ne kaha, "Tum bhi to phas gayi ho aur marne ke kareeb ho. Tumhari bhi to halat mere jaisi hai."

Gaay ne muskuratе huye kaha, "Bilkul nahi. Mera malik jab shaam ko ghar aayega aur mujhe vahan par nahi payega, to vah dhoondhte huye yahan zaroor aayega aur mujhe is keechad se nikal kar apne ghar le jayega. Tumhe kaun le jayega?"

Thodi hi der mein sach mein hi ek aadmi vahan par aaya aur gaay ko keechad se nikalkar apne ghar le gaya. Jaate samay gaay aur uska malik dono ek doosre ki taraf krutagnata poorvak dekh rahe the. Ve chahte huye bhi us baagh ko keechad se nahi nikal sakte the kyun ki unki jaan ke liye vah khatra tha.

Gaay samarpit hriday ka pratik hai. Baagh ahankaari man hai aur malik sadguru ka pratik hai. Keechad yah sansaar hai. Aur yah sangharsh astitva ki ladai hai. Kisi par nirbhar nahi hona achhi baat hai lekin uski ati nahi honi chahiye. Aapko kisi mitra, kisi guru, kisi sahayogi ki hamesha hi jarurat hoti hai.